kabhi tanhaa mile to baat ho usse | कभी तन्हा मिले तो बात हो उससे - Azhan 'Aajiz'

kabhi tanhaa mile to baat ho usse
zara mauqa mile to baat ho usse

ki haal-e-dil kahoon kissse yahan main ab
bhala apna mile to baat ho usse

dikhaai hai siyaasat jis tarah usne
mujhe satta mile to baat ho usse

pasandeeda nahin koi mera yaaro
pasandeeda mile to baat ho usse

mujhe to pyaas hai yaaro muhabbat ki
samandar sa mile to baat ho usse

main aa jaata hoon jaldi class mein lekin
vo maujooda mile to baat ho usse

meri na-qaamyaabi par hansa hai jo
mujhe rutba mile to baat ho usse

mujhe samjhe mujhe jaane ki mera ho
kabhi aisa mile to baat ho usse

bure milte rahe hain umr bhar mujhko
ki ab achha mile to baat ho usse

khilaaya hai mujhe teekhaa sada usne
ki ab meetha mile to baat ho usse

mujhe toda hai usne jis tarah ariz
vo gar toota mile to baat ho usse

कभी तन्हा मिले तो बात हो उससे
ज़रा मौक़ा मिले तो बात हो उससे

कि हाले-दिल कहूँ किससे यहाँ मैं अब
भला अपना मिले तो बात हो उससे

दिखाई है सियासत जिस तरह उसनें
मुझे सत्ता मिले तो बात हो उससे

पसंदीदा नहीं कोई मिरा यारो
पसंदीदा मिले तो बात हो उससे

मुझे तो प्यास है यारो मुहब्बत की
समन्दर सा मिले तो बात हो उससे

मैं आ जाता हूँ जल्दी क्लास में लेकिन
वो मौजूदा मिले तो बात हो उससे

मिरी ना-क़ामयाबी पर हँसा है जो
मुझे रुतबा मिले तो बात हो उससे

मुझे समझे मुझे जाने कि मेरा हो
कभी ऐसा मिले तो बात हो उससे

बुरे मिलते रहे हैं उम्र भर मुझको
कि अब अच्छा मिले तो बात हो उससे

खिलाया है मुझे तीखा सदा उसनें
कि अब मीठा मिले तो बात हो उससे

मुझे तोड़ा है उसने जिस तरह 'आरिज़'
वो गर टूटा मिले तो बात हो उससे

- Azhan 'Aajiz'
1 Like

Environment Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Azhan 'Aajiz'

As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'

Similar Writers

our suggestion based on Azhan 'Aajiz'

Similar Moods

As you were reading Environment Shayari Shayari