kisi ko yaad karna to bhulaana bhi zaroori hai
aziyyat laakh hon rishte nibhaana bhi zaroori hai
thehar saka nahin koi hamesha ke liye ismein
agar aaye ho duniya mein to jaana bhi zaroori hai
mujhe hai ilm khwaahish khwaab hasrat chahten sab kuchh
bikhar saka hai lekin ab sajaana bhi zaroori hai
mujhe maaloom hai vo lautne waala nahin hai ab
magar aawaaz usko ab lagana bhi zaroori hai
ki pooche koi mujhse kya zaroori hai kahoon main phir
kisi ke hijr mein haan muskurana bhi zaroori hai
khuda ka imtihaan ho ishq ka ariz ki maqtab ka
tumhein har imtihaan mein awwal aana bhi zaroori hai
किसी को याद करना तो भुलाना भी ज़रूरी है
अज़िय्यत लाख हों रिश्ते निभाना भी ज़रूरी है
ठहर सकता नहीं कोई हमेशा के लिए इसमें
अगर आए हो दुनिया में तो जाना भी ज़रूरी है
मुझे है इल्म ख़्वाहिश, ख़्वाब, हसरत, चाहतें सब कुछ
बिखर सकता है लेकिन अब सजाना भी ज़रूरी है
मुझे मालूम है वो लौटने वाला नहीं है अब
मगर आवाज़ उसको अब लगाना भी ज़रूरी है
कि पूछे कोई मुझसे क्या ज़रूरी है कहूँ मैं फिर
किसी के हिज्र में हाँ मुस्कुराना भी ज़रूरी है
ख़ुदा का इम्तिहाँ हो इश्क़ का 'आरिज़' कि मक़्तब का
तुम्हें हर इम्तिहाँ में अव्वल आना भी ज़रूरी है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Azhan 'Aajiz'
our suggestion based on Azhan 'Aajiz'
As you were reading Greed Shayari Shayari