ab to peeta bhi nahin phir bhi machal jaata hoon
raah chalte hue akshar main fisal jaata hoon
ik talab usko bhi masroof rakha karti hai
main bhi ik shakhs ki yaadon se bahl jaata hoon
jaanta hoon koi sunne nahin waala hai meri
baat kehta nahin baaton ko nigal jaata hoon
aap mujhpar na bharosa karein behtar hai yahi
vo fata note hoon ghalti se jo chal jaata hoon
main to aisa hoon na todoo kabhi ik phool bhi par
taish mein aaun to gulshan bhi kuchal jaata hoon
yun to padhne ko hain kitni hi kitaaben lekin
main sukoon paane ko bas samt-e-ghazal jaata hoon
kisi ki aankh se bahte hue aansu ki tarah
main kisi shakhs se milne ko nikal jaata hoon
ek vo waqt tha ghairoon ko pasand aata tha
ek ye waqt hai apnon ko bhi khal jaata hoon
अब तो पीता भी नहीं फिर भी मचल जाता हूँ
राह चलते हुए अक्सर मैं फिसल जाता हूँ
इक तलब उसको भी मसरूफ़ रखा करती है
मैं भी इक शख़्स की यादों से बहल जाता हूँ
जानता हूँ कोई सुनने नहीं वाला है मिरी
बात कहता नहीं बातों को निगल जाता हूँ
आप मुझपर न भरोसा करें बेहतर है यही
वो फटा नोट हूँ ग़लती से जो चल जाता हूँ
मैं तो ऐसा हूँ न तोड़ूँ कभी इक फूल भी पर
तैश में आऊँ तो गुलशन भी कुचल जाता हूँ
यूँ तो पढ़ने को हैं कितनी ही किताबें लेकिन
मैं सुकूँ पाने को बस सम्त-ए-ग़ज़ल जाता हूँ
किसी की आँख से बहते हुए आँसू की तरह
मैं किसी शख़्स से मिलने को निकल जाता हूँ
एक वो वक़्त था, ग़ैरों को पसंद आता था
एक ये वक़्त है, अपनों को भी खल जाता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Waqt Shayari Shayari