sochte rahe shab-bhar bas usi ke baare mein | सोचते रहे शब–भर बस उसी के बारे में

  - Abhishek Bhadauria 'Abhi'

sochte rahe shab-bhar bas usi ke baare mein
haar har khushi baithe ham the jis khasaare mein

raat din mashqat kar jo banaai thi kashti
vo palat gai uske ek hi ishaare mein

haath thaamne waala koi bhi nahin hai aur
ham ruke wahin par hain jaane kis sahaare mein

kya karenge ham aakhir is naseeb ka jab ho
tum nahin hamaare mein ham nahin tumhaare mein

raushni hai hasrat hai ya kisi ki aankhen hain
kya bhala chamakta hai raat us sitaare mein

dekhna abhi ye hai kitne din jiyeinge ham
pet bhi hai khaali aur kuchh nahin pitaare mein

सोचते रहे शब–भर बस उसी के बारे में
हार हर ख़ुशी बैठे हम थे जिस ख़सारे में

रात दिन मशक़्क़त कर जो बनाई थी कश्ती
वो पलट गई उसके एक ही इशारे में

हाथ थामने वाला कोई भी नहीं है और
हम रुके वहीं पर हैं जाने किस सहारे में

क्या करेंगे हम आख़िर इस नसीब का जब हो
तुम नहीं हमारे में, हम नहीं तुम्हारे में

रौशनी है? हसरत है? या किसी की आँखें हैं?
क्या भला चमकता है रात उस सितारे में?

देखना ‘अभी’ ये है कितने दिन जियेंगे हम
पेट भी है ख़ाली और कुछ नहीं पिटारे में

  - Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Writers

our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari