hamko khushi ki isliye chaahat nahin hui
hamko to gham se hi kabhi furqat nahin hui
kuchh bhi kaho magar ye ta'ajjub ki baat hai
usko kisi bhi shakhs ki aadat nahin hui
ik baar aisa zakham kisi ne mujhe diya
phir zindagi mein koi bhi hasrat nahin hui
jaate hue vo ek nishaani tha de gaya
us ek cheez ki bhi hifazat nahin hui
milne gaye the usse mujhe jhooth bol kar
tumko zara bhi yaar nadaamat nahin hui
saare galat jo kaam hain hamne kiye magar
jazbaat ki hai hamse tijaarat nahin hui
kaafi dinon se yaad bhi usko nahin kiya
kaafi dinon se koi aziyyat nahin hui
shaayad thi john ko bhi mohabbat kisi se ya
shaayad abhi ko bhi hai mohabbat nahin hui
हमको ख़ुशी की इसलिए चाहत नहीं हुई
हमको तो ग़म से ही कभी फ़ुर्सत नहीं हुई
कुछ भी कहो मगर ये त'अज्जुब की बात है
उसको किसी भी शख़्स की आदत नहीं हुई
इक बार ऐसा ज़ख़्म किसी ने मुझे दिया
फिर ज़िंदगी में कोई भी हसरत नहीं हुई
जाते हुए वो एक निशानी था दे गया
उस एक चीज़ की भी हिफ़ाज़त नहीं हुई
मिलने गए थे उससे मुझे झूठ बोल कर
तुमको ज़रा भी यार नदामत नहीं हुई
सारे ग़लत जो काम हैं हमने किए मगर
जज़्बात की है हमसे तिजारत नहीं हुई
काफ़ी दिनों से याद भी उसको नहीं किया
काफ़ी दिनों से कोई अज़िय्यत नहीं हुई
शायद थी ‘जॉन’ को भी मोहब्बत किसी से या
शायद ‘अभी’ को भी है मोहब्बत नहीं हुई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Abhishek Bhadauria 'Abhi'
our suggestion based on Abhishek Bhadauria 'Abhi'
As you were reading Shama Shayari Shayari