malaal-e-ishq ko taza kiya jaaye
naya sa ishq ka farma buna jaaye
milaaye aankhen phir ik doosre se aap
salaam-e-ishq ka aagaaz aa jaaye
mili hai zindagi phir se nayi dekho
kalaam-e-ishq ko phir se piya jaaye
chali aise palatkar phir na aayi vo
kitaab e-ishq ko phir se jiya jaaye
na aaye laut kar ab paas koi bhi
dharm ko dharm ke path par rakha jaaye
मलाल-ए-इश्क़ को ताज़ा किया जाए
नया सा इश्क़ का फ़रमा बुना जाए
मिलाए आँखें फिर इक दूसरे से आप
सलाम-ए-इश्क़ का आगाज़ आ जाए
मिली है ज़िंदगी फिर से नई देखो
कलाम-ए-इश्क़ को फिर से पिया जाए
चली ऐसे पलटकर फिर न आई वो
किताब -ए-इश्क़ को फिर से जिया जाए
न आए लौट कर अब पास कोई भी
धरम को धर्म के पथ पर रखा जाए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Kitaaben Shayari Shayari