milna hai raddi ko bhi koi khareedaar
bechna aasaan hai khud ko mere yaar
khud ki naiya khud kinaare tak le jaao
chahiye khud par bharosa hone ko paar
baith kar aaraam se kho jaaye koi
aapko lagana yahi hai ho gaya pyaar
kam na aankhen aap aurat ko kabhi bhi
shiv ki taqat mein milega shakti ka saar
maa ko dekha joojhte jab ghar chalaate
chhod kar jaana pada bacche ko ghar baar
ho rahi hai sau mee meri ye ghazal phir
log kyun kahte dharm sha'ir nahin yaar
मिलना है रद्दी को भी कोई ख़रीदार
बेचना आसान है ख़ुद को मेरे यार
ख़ुद की नैया ख़ुद किनारे तक ले जाओ
चाहिए ख़ुद पर भरोसा होने को पार
बैठ कर आराम से खो जाए कोई
आपको लगना यही है हो गया प्यार
कम न आँकें आप औरत को कभी भी
शिव की ताक़त में मिलेगा शक्ति का सार
माँ को देखा जूझते जब घर चलाते
छोड़ कर जाना पड़ा बच्चे को घर बार
हो रही है सौ मी मेरी ये ग़ज़ल फिर
लोग क्यों कहते धरम शा'इर नहीं यार
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Aawargi Shayari Shayari