rota nahin baccha rulaaya jaata hai
duniya mein dukh kya hai bataaya jaata hai
dukh mein dikhe baccha koii bhi umr mein
to god mein maa kii sulaaya jaata hai
rishton kii baariki samajh aane ke baad
rishte ko shiddat se nibhaaya jaata hai
samjha nahin hai ishq jo ye kah raha
ik shakhs ko aise bhulaaya jaata hai
bachchon ko dikhla kar bade sapne dharm
dukh se unhen aise milaaya jaata hai
रोता नहीं बच्चा रुलाया जाता है
दुनिया में दुख क्या है बताया जाता है
दुख में दिखे बच्चा कोई भी उम्र में
तो गोद में माँ की सुलाया जाता है
रिश्तों की बारीकी समझ आने के बाद
रिश्ते को शिद्दत से निभाया जाता है
समझा नहीं है इश्क़ जो ये कह रहा
इक शख़्स को ऐसे भुलाया जाता है
बच्चों को दिखला कर बड़े सपने 'धरम'
दुख से उन्हें ऐसे मिलाया जाता है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by "Dharam" Barot
our suggestion based on "Dharam" Barot
As you were reading Aah Shayari Shayari