wafa-e-ishq ke badle hikaarat dene aaye ho
ki apni shaadi ka tum mujh ko daawat dene aaye ho
gali ke log kyun sab hans rahe the ab samajh aaya
koii to kah raha tha tum amaanat dene aaye ho
vo mera dost hai jo hai tumhaara chaahne waala
mere hisse nayi tum ik adavat dene aaye ho
bana kar ke gaye maghroor paagal sa mujhe shayar
ye kaise kah rahe waapas sharaafat dene aaye ho
jo pehle ja raha tha main tumhin ne haath thaama tha
bhara jo man to jeene kii ijaazat dene aaye ho
chalo jaao yahan se tum ye jhoothi fikr rahne do
diya hai maut kahte ho basharat dene aaye ho
वफ़ा-ए-इश्क़ के बदले हिकारत देने आए हो
कि अपनी शादी का तुम मुझ को दावत देने आए हो
गली के लोग क्यूँ सब हँस रहे थे अब समझ आया
कोई तो कह रहा था तुम अमानत देने आए हो
वो मेरा दोस्त है जो है तुम्हारा चाहने वाला
मेरे हिस्से नई तुम इक अदावत देने आए हो
बना कर के गए मग़रूर पागल सा मुझे शायर
ये कैसे कह रहे वापस शराफ़त देने आए हो
जो पहले जा रहा था मैं तुम्हीं ने हाथ थामा था
भरा जो मन तो जीने की इजाज़त देने आए हो
चलो जाओ यहाँ से तुम ये झूठी फ़िक्र रहने दो
दिया है मौत कहते हो बशारत देने आए हो
As you were reading Shayari by Divu
our suggestion based on Divu
As you were reading undefined Shayari