jiye jaane ka ye zariya nahin hai | जिए जाने का ये ज़रिया नहीं है - Gopesh "Tanha"

jiye jaane ka ye zariya nahin hai
mohabbat dhoop hai saaya nahin hai

mere hisse kya gham aaya nahin hai
bahut jhela hai par gaaya nahin hai

tumhein ye jach gai tumko mubarak
hamaare kaam ki duniya nahin hai

shikaayat rah gai to sirf itni
ki jo chaaha tha vo paaya nahin hai

jo maalik ban rahe hain unse kah do
kisi ke baap ki duniya nahin hai

samajh kar khelna tum zindagi se
miyaan ye aag hai dariya nahin hai

bichhad jaaye jo tu to kya hai baaki
tira jo saath hai to kya nahin hai

mujhe tum bhi parakh kar dekhte ho
ye tanhaa aam hai amiya nahin hai

जिए जाने का ये ज़रिया नहीं है
मोहब्बत धूप है, साया नहीं है

मिरे हिस्से क्या ग़म आया नहीं है
बहुत झेला है पर गाया नहीं है

तुम्हें ये जच गई, तुमको मुबारक
हमारे काम की दुनिया नहीं है

शिकायत रह गई तो सिर्फ़ इतनी
कि जो चाहा था वो पाया नहीं है

जो मालिक बन रहे हैं उनसे कह दो
किसी के बाप की दुनिया नहीं है

समझ कर खेलना तुम ज़िंदगी से
मियाँ ये आग है, दरिया नहीं है

बिछड़ जाए जो तू तो क्या है बाकी
तिरा जो साथ है तो क्या नहीं है

मुझे तुम भी परख कर देखते हो
ये "तन्हा" आम है, अमिया नहीं है

- Gopesh "Tanha"
4 Likes

Aam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gopesh "Tanha"

As you were reading Shayari by Gopesh "Tanha"

Similar Writers

our suggestion based on Gopesh "Tanha"

Similar Moods

As you were reading Aam Shayari Shayari