kam nahin hota hai us beemaar ka dukh
jisko hota hai kisi ke pyaar ka dukh
tum hataaon uski har tasveer ghar se
roz kehta hai hamein deewaar ka dukh
ab bhala ummeed unse kya rakhen ham
jinko dikhta hi nahin dildaar ka dukh
phir kabhi jaata nahin hai door hamse
sun liya ik baar jinse yaar ka dukh
tum meri mazboori shaayad hi samajhten
tumne dekha hi nahin ghar-baar ka dukh
lag rahi hai ye kahaani sab ko achhi
par koi samjha nahin seedi ka dukh
कम नहीं होता है उस बीमार का दुख
जिसको होता है किसी के प्यार का दुख
तुम हटाओं उसकी हर तस्वीर घर से
रोज कहता है हमें दीवार का दुख
अब भला उम्मीद उनसे क्या रखें हम
जिनको दिखता ही नहीं दिलदार का दुख
फिर कभी जाता नहीं है दूर हमसे
सुन लिया इक बार जिनसे यार का दुख
तुम मिरी मज़बूरी शायद ही समझतें
तुमने देखा ही नहीं घर-बार का दुख
लग रही है ये कहानी सब को अच्छी
पर कोई समझा नहीं क़िरदार का दुख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Govind kumar
our suggestion based on Govind kumar
As you were reading Mehboob Shayari Shayari