kya ab yahi hai sach ki muhabbat nahin rahi | क्या अब यही है सच कि मुहब्बत नहीं रही

  - Gulfam Ajmeri

kya ab yahi hai sach ki muhabbat nahin rahi
matlab yahi ke tum ko bhi hasrat nahin rahi

kal raat tum ne ham ko nikala jo bazm se
yaaron mein baat kya rahe izzat nahin rahi

jis jis bhi kooche mein gaye khaaye hain zakhm hi
ab aur dil lagaane kii hasrat nahin rahi

tanhaai bhi hai dard bhi hai tera gham bhi hai
ab mere kamre mein koii khilwat nahin rahi

ab to sitam ye hai ke sitamgar ne kah diya
ab aur sitam ko teri zaroorat nahin rahi

ham jis ke pahluu se chale aaye hain dasht mein
vo dar nahin raha ki vo nisbat nahin rahi

bazaar-e-ishq mein bhi pukaare gaye magar
vo din nahin rahe ke vo qeemat nahin rahi

क्या अब यही है सच कि मुहब्बत नहीं रही
मतलब यही के तुम को भी हसरत नहीं रही

कल रात तुम ने हम को निकाला जो बज़्म से
यारों में बात क्या रहे इज़्ज़त नहीं रही

जिस जिस भी कूचे में गए खाए हैं ज़ख़्म ही
अब और दिल लगाने की हसरत नहीं रही

तन्हाई भी है दर्द भी है तेरा ग़म भी है
अब मेरे कमरे में कोई ख़ल्वत नहीं रही

अब तो सितम ये है के सितमगर ने कह दिया
अब और सितम को तेरी ज़रूरत नहीं रही

हम जिस के पहलू से चले आए हैं दश्त में
वो दर नहीं रहा कि वो निस्बत नहीं रही

बाज़ार-ए-इश्क़ में भी पुकारे गए मगर
वो दिन नहीं रहे के वो क़ीमत नहीं रही

  - Gulfam Ajmeri

More by Gulfam Ajmeri

As you were reading Shayari by Gulfam Ajmeri

Similar Writers

our suggestion based on Gulfam Ajmeri

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari