is qadar badan se hai raabta udaasi ka | इस क़दर बदन से है राब्ता उदासी का - Kumar gyaneshwar

is qadar badan se hai raabta udaasi ka
roz dhundh laata hai zaa'ika udaasi ka

hamse koi pooche kya hota hai mohabbat mein
hum heen jaante hain bas mas'ala udaasi ka

fer leti hai chehra dekhkar ye duniya ab
dost kuch to hai aakhir faayda udaasi ka

इस क़दर बदन से है राब्ता उदासी का
रोज़ ढ़ूँढ़ लाता है ज़ाइक़ा उदासी का

हमसे कोई पूछे क्या होता है मोहब्बत में
हम हीं जानते हैं बस मसअला उदासी का

फ़ेर लेती है चेहरा देखकर ये दुनिया अब
दोस्त कुछ तो है आख़िर फ़ायदा उदासी का

- Kumar gyaneshwar
5 Likes

Depression Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Kumar gyaneshwar

As you were reading Shayari by Kumar gyaneshwar

Similar Writers

our suggestion based on Kumar gyaneshwar

Similar Moods

As you were reading Depression Shayari Shayari