mere hisse likhi tanhaaiyaan hain
khila hai chaand raatein darmiyaan hain
muhabbat paak roohon kii ibadat
nasha ye ishq hi to khoobiyaan hain
mujhe haasil teri qurbat yahin par
ye doori mahz jhoothi aandhiyaan hain
machaai yaad ne teri tadap vo
mere ashkon lagi badnaamiyaan hain
chura loon aaj phir inder wahi sab
junoon se bhi badi betaabiyaan hain
मेरे हिस्से लिखी तन्हाइयाँ हैं
खिला है चाँद रातें दरमियाँ हैं
मुहब्बत पाक रूहों की इबादत
नशा ये इश्क़ ही तो ख़ूबियाँ हैं
मुझे हासिल तेरी क़ुर्बत यहीं पर
ये दूरी महज़ झूठी आँधियाँ हैं
मचाई याद ने तेरी तड़प वो
मेरे अश्कों लगी बदनामियाँ हैं
चुरा लूँ आज फिर इंदर वही सब
जुनूँ से भी बड़ी बेताबियाँ हैं
As you were reading Shayari by Harmindra Kaur
our suggestion based on Harmindra Kaur
As you were reading undefined Shayari