main bhi khoya sa rehta adhiktar | मैं भी खोया सा रहता अधिकतर

  - Jagveer Singh

main bhi khoya sa rehta adhiktar
vo bhi tanhaai mein rahti yaksar

zaalimon ko daraana hain jo gar
karna itna sa hai unse mat dar

baat bhi maanoon to kaise maanoon
baat aakhir hai kya baat to kar

khaamoshi kha gai mera kamra
cheekhta rehta veeraani se ghar

main bhi khun thooknaa chahta hoon
koii to faariha ho mayassar

jitni sharton pe tu hai mere saath
usse behtar to ye hai ki ja mar

usse aage bhi kuchh socha hai kya
jaisa socha nahin ho saka gar

hai ye awsaad ka hi asar to
laash ho jaate sab paanv se sar

mujh mein mujhse ziyaada basi tu
kaash tu dekhti mere andar

ik to jagveer hona badi baat
aur phir thehra bhi vo sukhanvar

मैं भी खोया सा रहता अधिकतर
वो भी तन्हाई में रहती यकसर

ज़ालिमों को डराना हैं जो गर
करना इतना सा है उनसे मत डर

बात भी मानूँ तो कैसे मानूँ
बात आख़िर है क्या? बात तो कर

ख़ामुशी खा गई मेरा कमरा
चीखता रहता वीरानी से घर

मैं भी ख़ूँ थूकना चाहता हूँ
कोई तो फ़ारिहा हो मयस्सर

जितनी शर्तों पे तू है मेरे साथ
उससे बेहतर तो ये है कि जा मर

उससे आगे भी कुछ सोचा है क्या?
जैसा सोचा नहीं हो सका गर

है ये अवसाद का ही असर तो
लाश हो जाते सब पाँव से सर

मुझ में मुझसे ज़ियादा बसी तू
काश तू देखती मेरे अंदर

इक तो 'जगवीर' होना बड़ी बात
और फिर ठहरा भी वो सुख़नवर

  - Jagveer Singh

More by Jagveer Singh

As you were reading Shayari by Jagveer Singh

Similar Writers

our suggestion based on Jagveer Singh

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari