dil mein tire rahne se beghar achhe the | दिल में तिरे रहने से बेघर अच्छे थे

  - Meem Alif Shaz

dil mein tire rahne se beghar achhe the
shikwe bhare lafzon se patthar achhe the

lafz-e-haya bhi ab to badan par chubhta hai
saadgi ke vo saare zever achhe the

koii farishta tha woh ya tha woh darvesh
nibhaiye mein bhi uske tevar achhe the

deewarein hone se bhi kuchh badla kya
khilte the jab ghar ke manzar achhe the

दिल में तिरे रहने से बेघर अच्छे थे
शिकवे भरे लफ़्ज़ों से पत्थर अच्छे थे

लफ़्ज़-ए-हया भी अब तो बदन पर चुभता है
सादगी के वो सारे ज़ेवर अच्छे थे

कोई फ़रिश्ता था वह या था वह दर्वेश
ग़ुस्से में भी उसके तेवर अच्छे थे

दीवारें होने से भी कुछ बदला क्या
खिलते थे जब घर के मंज़र अच्छे थे

  - Meem Alif Shaz

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari