ham bhi ik din khushboo mehkaayenge
apne lehje ko phool banaayenge
teri meri karne waale ye log
kaanton ka ik qissa ban jaayenge
kis kis ko parkhay apni baaton se
aise to khud hi parkhay jaayenge
jis ko bhi chaaho poora hi chaaho
varna dil ke tukde ho jaayenge
rishte kab milte hain bazaaron mein
ik bhi toota to phir pachhtaayenge
हम भी इक दिन ख़ुशबू महकाएँगे
अपने लहजे को फूल बनाएँगे
तेरी मेरी करने वाले ये लोग
काँटों का इक क़िस्सा बन जाएँगे
किस किस को परखे अपनी बातों से
ऐसे तो ख़ुद ही परखे जाएँगे
जिस को भी चाहो पूरा ही चाहो
वरना दिल के टुकड़े हो जाएँगे
रिश्ते कब मिलते हैं बाज़ारों में
इक भी टूटा तो फिर पछताएँगे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Basant Shayari Shayari