is mohabbat mein koi khasaara nahin
jo kare woh kabhi be-sahaara nahin
apni khuddaari ko ham ne zinda rakha
jaane waale ko phir se pukaara nahin
jab se duniya samajh mein hamein aayi hai
ek bhi cheez pe dil hamaara nahin
door saahil se dikhta nahin hai bhanwar
par bina kashti ke bhi guzaara nahin
zindagi bhar nahin muntazir un ke ham
jin ka khidki se koi ishaara nahin
is jahaan mein hazaaron bahaarein hain shaaz
sirf us ka hi chehra nazaara nahin
इस मोहब्बत में कोई ख़सारा नहीं
जो करे वह कभी बे-सहारा नहीं
अपनी ख़ुद्दारी को हम ने ज़िंदा रखा
जाने वाले को फिर से पुकारा नहीं
जब से दुनिया समझ में हमें आई है
एक भी चीज़ पे दिल हमारा नहीं
दूर साहिल से दिखता नहीं है भँवर
पर बिना कश्ती के भी गुज़ारा नहीं
ज़िन्दगी भर नहीं मुन्तज़िर उन के हम
जिन का खिड़की से कोई इशारा नहीं
इस जहाँ में हज़ारों बहारें हैं 'शाज़'
सिर्फ़ उस का ही चेहरा नज़ारा नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Nazara Shayari Shayari