jab ham ne apne gham ko bhulaaya us ke baad | जब हम ने अपने ग़म को भुलाया उस के बाद - Meem Alif Shaz

jab ham ne apne gham ko bhulaaya us ke baad
sab ne baaton ka teer chalaaya us ke baad

pehle to zid ki thodi si rishvat lelo
jab leli to logon ko bataaya us ke baad

ham ghairoon se laaye the kuch sacche rishte
apno ne to un ko bhi sataaya us ke baad

ham to bas khushboo dene gaye the un ke ghar
phir bhi ham ko dushman hi bataaya us ke baad

जब हम ने अपने ग़म को भुलाया उस के बाद
सब ने बातों का तीर चलाया उस के बाद

पहले तो ज़िद की थोड़ी सी रिश्वत लेलो
जब लेली तो लोगों को बताया उस के बाद

हम ग़ैरों से लाए थे कुछ सच्चे रिश्ते
अपनो ने तो उन को भी सताया उस के बाद

हम तो बस ख़ुशबू देने गए थे उन के घर
फिर भी हम को दुश्मन ही बताया उस के बाद

- Meem Alif Shaz
0 Likes

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Meem Alif Shaz

As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz

Similar Writers

our suggestion based on Meem Alif Shaz

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari