zinda rahne ki koshish jaari rakh
lekin maut ki bhi tu taiyaari rakh
deewaron se baatein kar ke ro le
apni tanhaai ki khuddaari rakh
dekh zamaana kya kya kar saka hai
jeena hai to thodi hushyaari rakh
jis ko jaana tha woh to ja chuka hai
us ki tasveeron mein chingaari rakh
yah mehngaai to badhti rahti hai
thoda bacha ke jebon ko bhari rakh
ज़िंदा रहने की कोशिश जारी रख
लेकिन मौत की भी तू तैयारी रख
दीवारों से बातें कर के रो ले
अपनी तन्हाई की ख़ुद्दारी रख
देख ज़माना क्या क्या कर सकता है
जीना है तो थोड़ी हुशयारी रख
जिस को जाना था वह तो जा चुका है
उस की तस्वीरों में चिंगारी रख
यह महँगाई तो बढ़ती रहती है
थोड़ा बचा के जेबों को भारी रख
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Meem Alif Shaz
our suggestion based on Meem Alif Shaz
As you were reading Hadsa Shayari Shayari