kisi bhi taur ye hadd-e-nazar ke bas mein nahin
tumhaara husn mere qaid-e-dastaras mein nahin
main chahta hoon mohabbat ko tark kar doon ab
mere qareeb koi mas'ala havas mein nahin
ye zindagi ki masarrat bhi ek dhoka hai
sukoon maut se aayega jo nafs mein nahin
yun aql-o-fahm se fikr-e-sawaal kya karna
jawaab hai koi aisa jo pesh-o-pas mein nahin
ajeeb lutf-e-masarrat hai ye aseeri bhi
vo iztiraab mein rahte hain jo qafas mein nahin
tumhein ye shauq-e-khayaalaat maar daalega
agar junoon-e-daroon aagahi ke bas mein nahin
mere yaqeen ko haasil nahin ke ye duniya
saraab-o-khwaab hai jo mere dastaras mein nahin
किसी भी तौर ये हद्द-ए-नज़र के बस में नहीं
तुम्हारा हुस्न मेरे क़ैद-ए-दस्तरस में नहीं
मैं चाहता हूँ मोहब्बत को तर्क कर दूँ अब
मेरे क़रीब कोई मसअला हवस में नहीं
ये ज़िंदगी की मसर्रत भी एक धोका है
सुकून मौत से आएगा जो नफ़स में नहीं
यूँ अक़्ल-ओ-फ़ह्म से फ़िक्र-ए-सवाल क्या करना
जवाब है कोई ऐसा जो पेश-ओ-पस में नहीं
अजीब लुत्फ़-ए-मसर्रत है ये असीरी भी
वो इज़्तिराब में रहते हैं जो क़फ़स में नहीं
तुम्हें ये शौक़-ए-ख़यालात मार डालेगा
अगर जुनून-ए-दरूँ आगही के बस में नहीं
मेरे यक़ीन को हासिल नहीं के ये दुनिया
सराब-ओ-ख़्वाब है जो मेरे दस्तरस में नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Kaif Uddin Khan
our suggestion based on Kaif Uddin Khan
As you were reading Husn Shayari Shayari