duniya ko bataane ke liye kuchh bhi nahin hai
ab sunne sunaane ke liye kuchh bhi nahin hai
tasveer koi teri na hi koi nishaani
ab tujhko bhulaane ke liye kuchh bhi nahin hai
har ek qadam pe to palat kar yoon na dekho
ab saath nibhaane ke liye kuchh bhi nahin hain
jab khatm hua qissa to tum paas ho aaye
ab aur sunaane ke liye kuchh bhi nahin hai
jab dil hi nahin rooh talak zakham bhara ho
phir hansne hasaane ke liye kuchh bhi nahin hai
ik aise safar pe to nikal aaye hain khalid
ab laut ke jaane ke liye kuchh bhi nahin hai
दुनिया को बताने के लिए कुछ भी नहीं है
अब सुनने सुनाने के लिए कुछ भी नहीं है
तस्वीर कोई तेरी, ना ही कोई निशानी
अब तुझको भुलाने के लिए कुछ भी नहीं है
हर एक क़दम पे तो पलट कर यूंँ न देखो
अब साथ निभाने के लिए कुछ भी नहीं हैं
जब ख़त्म हुआ क़िस्सा तो तुम पास हो आए
अब और सुनाने के लिए कुछ भी नहीं है
जब दिल ही नहीं रूह तलक ज़ख़्म भरा हो
फिर हंँसने हंँसाने के लिए कुछ भी नहीं है
इक ऐसे सफ़र पे तो निकल आए हैं खालिद
अब लौट के जाने के लिए कुछ भी नहीं है
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Khalid Azad
our suggestion based on Khalid Azad
As you were reading Aawargi Shayari Shayari