aasmaan par bhi zameen ka bhaar hona chahiye | आसमाँ पर भी ज़मीं का भार होना चाहिए

  - Divya 'Kumar Sahab'

aasmaan par bhi zameen ka bhaar hona chahiye
lo dava phir bhi zara beemaar hona chahiye

aa gaya paigaam unka ek din tyaohar mein
sochta hoon roz ik tyaohar hona chahiye

toot kar kashti hui tinka samandar mein bhale
ab yahan har tinke ko patwaar hona chahiye

door vo hon to basaalo is tarah palkon tale
ho uthiin ya phir gireen deedaar hona chahiye

vo mile to bas dhadak jaaye yahan brahmaand hi
zindagi mein ek aisa yaar hona chahiye

आसमाँ पर भी ज़मीं का भार होना चाहिए
लो दवा फिर भी ज़रा बीमार होना चाहिए

आ गया पैग़ाम उनका एक दिन त्यौहार में
सोचता हूँ रोज़ इक त्यौहार होना चाहिए

टूट कर कश्ती हुई तिनका समंदर में भले
अब यहाँ हर तिनके को पतवार होना चाहिए

दूर वो हों तो बसालो इस तरह पलकों तले
हो उठीं या फिर गिरीं दीदार होना चाहिए

वो मिले तो बस धड़क जाए यहाँ ब्रह्माण्ड ही
ज़िंदगी में एक ऐसा यार होना चाहिए

  - Divya 'Kumar Sahab'

Deedar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Divya 'Kumar Sahab'

As you were reading Shayari by Divya 'Kumar Sahab'

Similar Writers

our suggestion based on Divya 'Kumar Sahab'

Similar Moods

As you were reading Deedar Shayari Shayari