hamein dil ko lagana chahiye tha
ise bhi aazmaana chahiye tha
akela ka nahin tha dekh zimma
tujhe bhi paas aana chahiye tha
sabab hota nahin hai shaad ka yun
hamein koi bahaana chahiye tha
hui kya thi khata meri taraf se
haqeeqat ko bataana chahiye tha
khushi ke qatl ke baabat udaasi
tujhe bhi jail jaana chahiye tha
bahak jaate magar ham bhi yahan par
zara mausam suhaana chahiye tha
kitaabon ki tahon ke beech sukhe
gulaabon ko dikhaana chahiye tha
kinaare baithkar ab sochna kya
hamein to doob jaana chahiye tha
हमें दिल को लगाना चाहिए था
इसे भी आज़माना चाहिए था
अकेले का नहीं था देख ज़िम्मा
तुझे भी पास आना चाहिए था
सबब होता नहीं है शाद का यूँ
हमें कोई बहाना चाहिए था
हुई क्या थी ख़ता मेरी तरफ़ से
हक़ीक़त को बताना चाहिए था
ख़ुशी के क़त्ल के बाबत उदासी
तुझे भी जेल जाना चाहिए था
बहक जाते मगर हम भी यहाँ पर
ज़रा मौसम सुहाना चाहिए था
किताबों की तहों के बीच सूखे
गुलाबों को दिखाना चाहिए था
किनारे बैठकर अब सोचना क्या
हमें तो डूब जाना चाहिए था
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manish Yadav
our suggestion based on Manish Yadav
As you were reading Wahshat Shayari Shayari