aadaten jab kharab hone lagi | आदतें जब ख़राब होने लगी

  - Manoj Devdutt

aadaten jab kharab hone lagi
haath mein phir sharaab hone lagi

sirf tujhse hui mohabbat hamein
aur phir be-hisaab hone lagi

duniya mein theek tha shuroo mein sabhi
duniya ab be-naqaab hone lagi

zindagi mein bachi nahin roshni
phir maa ik aftaab hone lagi

bolna har dafa munaasib nahin
kaamyaabi jabaab hone lagi

ki mohabbat manoj ne jisse ab
yaad uski azaab hone lagi

आदतें जब ख़राब होने लगी
हाथ में फिर शराब होने लगी

सिर्फ़ तुझसे हुई मोहब्बत हमें
और फिर बे-हिसाब होने लगी

दुनिया में ठीक था शुरू में सभी
दुनिया अब बे-नकाब होने लगी

ज़िन्दगी में बची नहीं रोशनी
फिर माँ इक आफ़ताब होने लगी

बोलना हर दफ़ा मुनासिब नहीं
कामयाबी जबाब होने लगी

की मोहब्बत मनोज ने जिससे अब
याद उसकी अज़ाब होने लगी

  - Manoj Devdutt

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Manoj Devdutt

As you were reading Shayari by Manoj Devdutt

Similar Writers

our suggestion based on Manoj Devdutt

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari