agar mujhko malaal hota nahin
mera phir ye sawaal hota nahin
december to kai hue hain mere
magar poora ye saal hota nahin
us hi se ek ho gaya ye jahaan
nahin to ye kamaal hota nahin
mohabbat mein hi to vo kaata gaya
bagaavat se halaal hota nahin
na jab tak paanch yaar hi ham milen
kabhi tab tak dhamaal hota nahin
kisi ka bhi manoj hota nahin
kabhi bhi phir malaal hota nahin
अगर मुझको मलाल होता नहीं
मेरा फिर ये सवाल होता नहीं
दिसंबर तो कई हुए हैं मेरे
मगर पूरा ये साल होता नहीं
उस ही से एक हो गया ये जहाँ
नहीं तो ये कमाल होता नहीं
मोहब्बत में ही तो वो काटा गया
बग़ावत से हलाल होता नहीं
न जब तक पाँच यार ही हम मिलें
कभी तब तक धमाल होता नहीं
किसी का भी मनोज होता नहीं
कभी भी फिर मलाल होता नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading Dost Shayari Shayari