jo paar had ko kar gaye hain ab
zinda nahin hain mar gaye hain ab
sab raat ko ghar hi gaye the par
taare savere ghar gaye hain ab
ab aag jisne bhi lagaaee thi
jal unke bhi to ghar gaye hain ab
daulat nahin to kya hua shayar
panne bahut-se bhar gaye hain ab
sach bolne nikla koi bhi jab
neta sabhi phir dar gaye hain ab
ab pyaar karna tha nahin hamko
par pyaar to ham kar gaye hain ab
जो पार हद को कर गए हैं अब
ज़िन्दा नहीं हैं मर गए हैं अब
सब रात को घर ही गए थे पर
तारे सवेरे घर गए हैं अब
अब आग जिसने भी लगाई थी
जल उनके भी तो घर गए हैं अब
दौलत नहीं तो क्या हुआ शायर
पन्ने बहुत-से भर गए हैं अब
सच बोलने निकला कोई भी जब
नेता सभी फिर डर गए हैं अब
अब प्यार करना था नहीं हमको
पर प्यार तो हम कर गए हैं अब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Manoj Devdutt
our suggestion based on Manoj Devdutt
As you were reading Love Shayari Shayari