sui mein dhaaga daala maine
aise sui ko sambhala maine
karz iska tum kaise chukaoge
mere bete tumhein paala maine
jis kasrat se buna phir suljhaaya
utni shiddat se jaalaa maine
tere ishq mein hai deewaanon sa haal
pahni hai patthar ki maala maine
andar sad chuki badnaseebi ki laash
phir toda dil ka taalaa maine
maine pehle dhoondhi zahar ki jheel
phir dar-dar dhoondhaa pyaala maine
kaalikh ubhar aayi roz-e-shanivaar
jab kurta pahna kaala maine
सुई में धागा डाला मैंने
ऐसे सुई को सम्भाला मैंने
कर्ज़ इसका तुम कैसे चुकाओगे
मेरे बेटे तुम्हें पाला मैंने
जिस कसरत से बुना फिर सुलझाया
उतनी शिद्दत से जाला मैंने
तेरे इश्क़ में है दीवानों सा हाल
पहनी है पत्थर की माला मैंने
अन्दर सड़ चुकी ख़्वाबों की लाश
फिर तोड़ा दिल का ताला मैंने
मैंने पहले ढूँढी ज़हर की झील
फिर दर-दर ढूँढा प्याला मैंने
कालिख उभर आई रोज़-ए-शनिवार
जब कुर्ता पहना काला मैंने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Amaan mirza
our suggestion based on Amaan mirza
As you were reading Dil Shayari Shayari