maine maana vo mera kuchh bhi nahin
haan magar is mein bura kuchh bhi nahin
mere aage se vo kuchh aise gaya
main to jaise uska tha kuchh bhi nahin
us pe sab apna luta kar aur phir
mujh ko badle mein mila kuchh bhi nahin
raat bhar ko jaagne ke baad main
yun utha jaise hua kuchh bhi nahin
dekh mujh ko tere aage baitha hoon
tujh se jaanaan ab chhupa kuchh bhi nahin
jis ko chaahoon chhod jaata hai mujhe
is mein ab yaasir naya kuchh bhi nahin
मैंने माना वो मेरा कुछ भी नहीं
हाँ मगर इस में बुरा कुछ भी नहीं
मेरे आगे से वो कुछ ऐसे गया
मैं तो जैसे उसका था कुछ भी नहीं
उस पे सब अपना लुटा कर और फिर
मुझ को बदले में मिला कुछ भी नहीं
रात भर को जागने के बाद मैं
यूँ उठा जैसे हुआ कुछ भी नहीं
देख मुझ को तेरे आगे बैठा हूँ
तुझ से जानाँ अब छुपा कुछ भी नहीं
जिस को चाहूँ छोड़ जाता है मुझे
इस में अब 'यासिर' नया कुछ भी नहीं
As you were reading Shayari by Mohammad yasir
our suggestion based on Mohammad yasir
As you were reading undefined Shayari