mujhe kabhi bhi muhabbat samajh nahin aayi
par usse ziyaada to nafrat samajh nahin aayi
nasheen takht pe ho muflison se tevar hain
mujhe tumhaari siyaasat samajh nahin aayi
gunaahgaar nahin aam log qaid mein hai
bhala ye kaisi hifazat samajh nahin aayi
gulon ke saath ye paani pilaaye kaantto ko
ye baaghbaan ki sharaafat samajh nahin aayi
tumhe ye khwaab hamaara samajh nahin aaya
hamein tumhaari haqeeqat samajh nahin aayi
ragon se mard ki aurat har ek waakif hai
kisi bhi mard ko aurat samajh nahin aayi
vo shakhs jisko muhabbat hui na ho tum se
use khuda ki karaamat samajh nahin aayi
मुझे कभी भी मुहब्बत समझ नहीं आई
पर उससे ज़्यादा तो नफ़रत समझ नहीं आई
नशीन तख़्त पे हो, मुफ़्लिसों से तेवर हैं
मुझे तुम्हारी सियासत समझ नहीं आई
गुनाहगार नहीं, आम लोग क़ैद में है
भला ये कैसी हिफ़ाज़त, समझ नहीं आई
गुलों के साथ ये पानी पिलाए कांँटो को
ये बाग़बां की शराफ़त समझ नहीं आई
तुम्हे ये ख्वाब हमारा समझ नहीं आया
हमें तुम्हारी हकीक़त समझ नहीं आई
रगों से मर्द की औरत हर एक वाकिफ़ है
किसी भी मर्द को औरत समझ नहीं आई
वो शख़्स जिसको मुहब्बत हुई न हो तुम से
उसे खुदा की करामत समझ नहीं आई
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Maher painter 'Musavvir'
our suggestion based on Maher painter 'Musavvir'
As you were reading Paani Shayari Shayari