ukta ke ku-e-yaar se ushshaq chal pade | उक्ता के कू-ए-यार से उश्शाक़ चल पड़े

  - Nirmal Nadeem

ukta ke ku-e-yaar se ushshaq chal pade
kaar-e-wafa ke dekhiye mushtaaq chal pade

main uth gaya to dard ki mehfil ujad gai
mere hi saath ishq ke mashshaq chal pade

naqsh-e-qadam pade hain ye qudrat ke jaa-b-jaa
duniyaa-e-dil se uth ke bad-akhlaaq chal pade

barg-e-hina se likh ke naseehat zameen par
gulshan ko tere chhod ke aoraq chal pade

rishton ke ehtiraam ki jin ko na thi tameez
daaman mein apne baandh ke aafaq chal pade

teri nigaah-e-naaz ne aisa fusoon padha
deewane ho ke duniya se ashfaaq chal pade

main ne charaagh-e-ishq jalaae the jo nadeem
hamraah mere chhod ke sab taq chal pade

उक्ता के कू-ए-यार से उश्शाक़ चल पड़े
कार-ए-वफ़ा के देखिए मुश्ताक़ चल पड़े

मैं उठ गया तो दर्द की महफ़िल उजड़ गई
मेरे ही साथ इश्क़ के मश्शाक़ चल पड़े

नक़्श-ए-क़दम पड़े हैं ये क़ुदरत के जा-ब-जा
दुनिया-ए-दिल से उठ के बद-अख़लाक़ चल पड़े

बर्ग-ए-हिना से लिख के नसीहत ज़मीन पर
गुलशन को तेरे छोड़ के औराक़ चल पड़े

रिश्तों के एहतिराम की जिन को न थी तमीज़
दामन में अपने बाँध के आफ़ाक़ चल पड़े

तेरी निगाह-ए-नाज़ ने ऐसा फ़ुसूँ पढ़ा
दीवाने हो के दुनिया से अशफ़ाक़ चल पड़े

मैं ने चराग़-ए-इश्क़ जलाए थे जो 'नदीम'
हमराह मेरे छोड़ के सब ताक़ चल पड़े

  - Nirmal Nadeem

Rahbar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Nirmal Nadeem

As you were reading Shayari by Nirmal Nadeem

Similar Writers

our suggestion based on Nirmal Nadeem

Similar Moods

As you were reading Rahbar Shayari Shayari