jo samay ke vaar ko sahne ki himmat kar na paaye | जो समय के वार को सहने की हिम्मत कर न पाए - Priyanshu Gautam

jo samay ke vaar ko sahne ki himmat kar na paaye
kah do un se zindagi bhar thokren khaate hi jaaye

lad rahe ho zindagi ki jang to ladte hi jaao
kaun jaane kab ke teri daud phir se laut aaye

jisko bhi ho shak mere kirdaar ke paakizagi par
jitni jaldi ho sake vo aake mujhko aazmaaye

ishq ka to ye taqaza sun raha pehli dafa main
ho agar teri ijaazat to hi ab vo muskuraaye

जो समय के वार को सहने की हिम्मत कर न पाए
कह दो उन से ज़िंदगी भर ठोकरें खाते ही जाए

लड़ रहे हो ज़िंदगी की जंग तो लड़ते ही जाओ,
कौन जाने कब के तेरी दौड़ फिर से लौट आए

जिसको भी हो शक मिरे किरदार के पाकीज़गी पर
जितनी जल्दी हो सके वो आके मुझको आज़माए

इश्क़ का तो ये तक़ाज़ा सुन रहा पहली दफ़ा मैं
हो अगर तेरी इजाज़त तो ही अब वो मुस्कुराए

- Priyanshu Gautam
2 Likes

Zindagi Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Priyanshu Gautam

As you were reading Shayari by Priyanshu Gautam

Similar Writers

our suggestion based on Priyanshu Gautam

Similar Moods

As you were reading Zindagi Shayari Shayari