jis jis ne li hai zindagi ko aan pe
har waqt aafat hi hai un ke jaan pe
kitne bade naukar the ham tere sanam
haazir the ham har waqt ik farmaan pe
ab hai nahi us shakhs ki chaahat mujhe
ab main nahi marta kisi muskaan pe
itna na bhi tu khush ho is yalghaar par
marne ko hai tu jang ke ailaan pe
जिस जिस ने ली है ज़िंदगी को आन पे
हर वक़्त आफ़त ही है उन के जान पे
कितने बड़े नौकर थे हम तेरे सनम
हाज़िर थे हम हर वक़्त इक फ़रमान पे
अब है नही उस शख़्स की चाहत मुझे
अब मैं नही मरता किसी मुस्कान पे
इतना न भी तू ख़ुश हो इस यलग़ार पर
मरने को है तू जंग के ऐलान पे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Priyanshu Gautam
our suggestion based on Priyanshu Gautam
As you were reading Waqt Shayari Shayari