man ki tasalli ke liye ik kaam main karta gaya
haq mein duaaein yaar ke har shaam main karta gaya
tark-e-t'aalluq vo mujhe badle mein aansu de gaye
phir maykashi mein aansuon ko jaam main karta gaya
itna kahaan aasaan hai raatein sataati hai magar
afsoos raatein roz uske naam main karta gaya
jitna kiya maine kiya uski khushi ke vaaste
is ishq mein khud ko bahut badnaam main karta gaya
meri khata hai veer maine maankar usko khuda
phir ki ibadat aur dil ko dhaam main karta gaya
मन की तसल्ली के लिए इक काम मैं करता गया
हक़ में दुआएँ यार के हर शाम मैं करता गया
तर्क-ए-त'अल्लुक़ वो मुझे बदले में आँसू दे गए
फिर मयकशी में आँसुओं को जाम मैं करता गया
इतना कहाँ आसान है रातें सताती है मगर
अफ़्सोस रातें रोज़ उसके नाम मैं करता गया
जितना किया मैंने किया उसकी ख़ुशी के वास्ते
इस इश्क़ में ख़ुद को बहुत बदनाम मैं करता गया
मेरी ख़ता है 'वीर' मैंने मानकर उसको ख़ुदा
फिर की 'इबादत और दिल को धाम मैं करता गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ravi 'VEER'
our suggestion based on Ravi 'VEER'
As you were reading Emotional Shayari Shayari