jab se pahluu mein tire yaar hoon main | जब से पहलू में तिरे यार हूँ मैं - Saif Dehlvi

jab se pahluu mein tire yaar hoon main
aisa lagta nahin beemaar hoon main

kaise uski wafa pe hoga yaqeen
khud jo kehta ho wafadar hoon main

kitna maasoom hai mera dilbar
khud hi kehta hai wafadar hoon main

yun hi bazaar nikal aaya hoon
sab samajhte hain khareedaar hoon main

aaj bhi vo nahin hain meri taraf
aaj bhi unka tarafdaar hoon main

raasta mera koii kya roke
khud hi apne liye deewaar hoon main

kya kaha ishq hua hai tum ko
tum to kahte the samajhdaar hoon main

saif tanhaa to mujhe hona tha
haq-parasti ka tarafdaar hoon main

जब से पहलू में तिरे यार हूँ मैं
ऐसा लगता नहीं बीमार हूँ मैं

कैसे उसकी वफ़ा पे होगा यक़ीं
ख़ुद जो कहता हो वफ़ादार हूँ मैं

कितना मासूम है मेरा दिलबर
ख़ुद ही कहता है वफ़ादार हूँ मैं

यूँ ही बाज़ार निकल आया हूँ
सब समझते हैं ख़रीदार हूँ मैं

आज भी वो नहीं हैं मेरी तरफ़
आज भी उनका तरफ़दार हूँ मैं

रास्ता मेरा कोई क्या रोके
ख़ुद ही अपने लिए दीवार हूँ मैं

क्या कहा इश्क़ हुआ है तुम को
तुम तो कहते थे समझदार हूँ मैं

'सैफ़' तन्हा तो मुझे होना था
हक़-परस्ती का तरफ़दार हूँ मैं

- Saif Dehlvi
1 Like

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari