kya dik rahe hain aaj ye manzar ajeeb se | क्या दिख रहे हैं आज ये मंज़र अजीब से - Saif Dehlvi

kya dik rahe hain aaj ye manzar ajeeb se
neta jee milne aaye hain ghar par gareeb se

aa jaaye mujh ko dekhne kehna habeeb se
aane lagi hain meri dawaayein tabeeb se

jaise vo ham ko jaanta pahchaanta na ho
aise guzar gaya hai hamaare qareeb se

karne lage hain log mujhe har taraf salaam
jis roz se ameer hua main gareeb se

क्या दिख रहे हैं आज ये मंज़र अजीब से
नेता जी मिलने आए हैं घर पर ग़रीब से

आ जाए मुझ को देखने कहना हबीब से
आने लगी हैं मेरी दवाएँ तबीब से

जैसे वो हम को जानता पहचानता न हो
ऐसे गुज़र गया है हमारे क़रीब से

करने लगे हैं लोग मुझे हर तरफ़ सलाम
जिस रोज़ से अमीर हुआ मैं ग़रीब से

- Saif Dehlvi
1 Like

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari