jurm qaanoon kii nazaron mein bada kuchh bhi nahin | जुर्म क़ानून की नज़रों में बड़ा कुछ भी नहीं - Saif Dehlvi

jurm qaanoon kii nazaron mein bada kuchh bhi nahin
ho agar jeb mein paisa to saza kuchh bhi nahin

ye jo kahte hain ki duniya mein haseen aur bhi hain
inko shaayad tire baare mein pata kuchh bhi nahin

dil gaya neend gai shehar mein izzat na rahi
aur to khair mohabbat mein gaya kuchh bhi nahin

mere aamaal mere saath gaye unke siva
baad marne ke mere saath gaya kuchh bhi nahin

is qadar teri judaai ne mujhe tod diya
haath utthe hain magar lab pe dua kuchh bhi nahin

जुर्म क़ानून की नज़रों में बड़ा कुछ भी नहीं
हो अगर जेब में पैसा तो सज़ा कुछ भी नहीं

ये जो कहते हैं कि दुनिया में हसीं और भी हैं
इनको शायद तिरे बारे में पता कुछ भी नहीं

दिल गया नींद गई शहर में इज़्ज़त न रही
और तो ख़ैर मोहब्बत में गया कुछ भी नहीं

मिरे आमाल मिरे साथ गए उनके सिवा
बाद मरने के मिरे साथ गया कुछ भी नहीं

इस क़दर तेरी जुदाई ने मुझे तोड़ दिया
हाथ उठ्ठे हैं मगर लब पे दुआ कुछ भी नहीं

- Saif Dehlvi
3 Likes

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari