veeraan hai ghar-baar hamaara use kehna | वीरान है घर-बार हमारा उसे कहना - Saif Dehlvi

veeraan hai ghar-baar hamaara use kehna
har simt mein dhundhlaa hai nazaara use kehna

jo us se juda ho ke guzaara hai vo jeevan
uske hi khayaalon mein guzaara use kehna

ye us se bichhad kar ke mera haal hua hai
kahte hain mujhe log bichaara use kehna

mumkin ho agar laut ke aana to vo aaye
main aaj bhi baitha hoon kunwaara use kehna

tum yaad nahin karte ho par yaad aaj bhi
karta hai tumhein saif tumhaara use kehna

वीरान है घर-बार हमारा उसे कहना
हर सिम्त में धुंधला है नज़ारा उसे कहना

जो उस से जुदा हो के गुज़ारा है वो जीवन
उसके ही ख़यालों में गुज़ारा उसे कहना

ये उस से बिछड़ कर के मिरा हाल हुआ है
कहते हैं मुझे लोग बिचारा उसे कहना

मुमकिन हो अगर लौट के आना तो वो आए
मैं आज भी बैठा हूँ कुँवारा उसे कहना

तुम याद नहीं करते हो पर याद आज भी
करता है तुम्हें सैफ़ तुम्हारा उसे कहना

- Saif Dehlvi
2 Likes

More by Saif Dehlvi

As you were reading Shayari by Saif Dehlvi

Similar Writers

our suggestion based on Saif Dehlvi

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari