dariya ki lahren khul ke
aaj gale lagti pul ke
suraj bhi ban sakte hain
saare jugnoo mil-jul ke
shaam utar aayi aakhir
aaj bagaavat pe khul ke
baarish mein dariya ke sang
mitti bahti hai ghul ke
gujre patjhad ke saaye
pahne coat naye gul ke
tan-man bheeg gaya barsi
aankh ghatta sab mil-jul ke
pyaar bika bazaaron mein
sone-chandi mein tul ke
chaand nadi se takra kar
ghista jaaye ghul-ghul ke
दरिया की लहरें खुल के
आज गले लगती पुल के
सूरज भी बन सकते हैं
सारे जुगनू मिल-जुल के
शाम उतर आई आख़िर
आज बगा़वत पे खुल के
बारिश में दरिया के संग
मिट्टी बहती है घुल के
गुजरे पतझड़ के साए
पहने कोट नए गुल के
तन-मन भीग गया बरसीं
आंख घटा सब मिल-जुल के
प्यार बिका बाज़ारों में
सोने-चांदी में तुल के
चांद नदी से टकरा कर
घिसता जाए घुल-घुल के
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Sandeep Thakur
our suggestion based on Sandeep Thakur
As you were reading Shaam Shayari Shayari