sach hai ki dard-o-gham ka himaala ghazal mein hai
ye morcha to hamne sambhaala ghazal mein hai
unwan-e-shayari hai maqala ghazal mein hai
meri mohabbaton ka hawala ghazal mein hai
ik behar-e-bekaraan hai himaala ghazal mein hai
sehra meri ghazal mein ghazala ghazal mein hai
ik maah-roo kii yaad hai shabnam bhi phool bhi
khushboo hai chaandni hai ujaala ghazal mein hai
radha ka baankpan hai kanhaiya kii baansuri
mandir hai raam jee ka shivaala ghazal mein hai
bewa kii hasratein hain yatiimon ke khwaab bhi
shaadaab muflison ka nivaala ghazal mein hai
सच है कि दर्द-ओ-ग़म का हिमाला ग़ज़ल में है
ये मोर्चा तो हमने सँभाला ग़ज़ल में है
उन्वान-ए-शायरी है मक़ाला ग़ज़ल में है
मेरी मोहब्बतों का हवाला ग़ज़ल में है
इक बह्र-ए-बेकराँ है हिमाला ग़ज़ल में है
सहरा मिरी ग़ज़ल में ग़ज़ाला ग़ज़ल में है
इक माह-रू की याद है शबनम भी फूल भी
ख़ुश्बू है चाँदनी है उजाला ग़ज़ल में है
राधा का बाँकपन है कन्हैया की बाँसुरी
मंदिर है राम जी का शिवाला ग़ज़ल में है
बेवा की हसरतें हैं यतीमों के ख़्वाब भी
'शादाब' मुफ़्लिसों का निवाला ग़ज़ल में है
As you were reading Shayari by Shadab Shabbiri
our suggestion based on Shadab Shabbiri
As you were reading undefined Shayari