ajnabi shehar mein ajnabi shakhs se apne dil ko lagaane se kya faaeda | अजनबी शहर में अजनबी शख़्स से अपने दिल को लगाने से क्या फ़ाएदा

  - Shajar Abbas

ajnabi shehar mein ajnabi shakhs se apne dil ko lagaane se kya faaeda
hijr kii aag mein umr bhar raat din phool sa dil jalane se kya faaeda

raat bhi ja chuki baat bhi ja chuki baat aage badhaane se kya fay
eda

dosti dushmani mein badal jaayegi dost ko aazmaane se kya faaeda
hazrat-e-qais se aaj poochhoonga main furqat-e-yaar mein ye batao mujhe

khaak kyun channi vahshate karne kyun dasht mein ghar basaane se kya fay
eda

ishq karte raho chot khaate raho dard sahte raho muskuraate raho
be-sabab ishq se door rah ke bhala zindagi ko ganwaane se kya faaeda

dil kii chalti hui dhadkane ruk gaeein tum na aaye mere aakhiri deed ko
ab meri qabr par aise sar peet kar khun ke aansu bahaane se kya faaeda

khwaab mein aa gaye ho to aaraam se paas baitho mere mujhse baatein karo
beech mein is tarah se mulaqaat ko dafatan chhod jaane se kya faaeda

yaad aayi tiri dard-e-dil badh gaya dard-e-dil jab badha zakhm-e-dil khul gaye
zakhm-e-dil jab khule chaara-gar ne kaha inpe marham lagaane se kya faaeda

ilm se door hain bhookh se choor hain tan pe bekas gharibon ke kapde nahin
hukmraan ye bata shehar mein masjidein aur mandir banaane se kya faaeda

maine ye sochkar aaj tak ai shajar dil kabhi bhi kisi ka dukhaaya nahin
be-khata be-sabab rab kii makhluq ka chhod dil ko dukhaane se kya faaeda

अजनबी शहर में अजनबी शख़्स से अपने दिल को लगाने से क्या फ़ाएदा
हिज्र की आग में उम्र भर रात दिन फूल सा दिल जलाने से क्या फ़ाएदा

रात भी जा चुकी बात भी जा चुकी बात आगे बढ़ाने से क्या फ़ाय
एदा

दोस्ती दुश्मनी में बदल जाएगी दोस्त को आज़माने से क्या फ़ाएदा
हज़रत-ए-क़ैस से आज पूछूँगा मैं फ़ुर्क़त-ए-यार में ये बताओ मुझे

ख़ाक क्यों छाननी वहशते करनी क्यों दश्त में घर बसाने से क्या फ़ाय
एदा

इश्क़ करते रहो चोट खाते रहो दर्द सहते रहो मुस्कुराते रहो
बे-सबब इश्क़ से दूर रह के भला ज़िंदगी को गँवाने से क्या फ़ाएदा

दिल की चलती हुई धड़कने रुक गईं तुम न आए मिरे आख़िरी दीद को
अब मिरी क़ब्र पर ऐसे सर पीट कर ख़ूँ के आँसू बहाने से क्या फ़ाएदा

ख़्वाब में आ गए हो तो आराम से पास बैठो मिरे मुझसे बातें करो
बीच में इस तरह से मुलाक़ात को दफ़अतन छोड़ जाने से क्या फ़ाएदा

याद आई तिरी दर्द-ए-दिल बढ़ गया दर्द-ए-दिल जब बढ़ा ज़ख़्म-ए-दिल खुल गए
ज़ख़्म-ए-दिल जब खुले चारा-गर ने कहा इनपे मरहम लगाने से क्या फ़ाएदा

इल्म से दूर हैं भूख से चूर हैं तन पे बेकस ग़रीबों के कपड़े नहीं
हुक्मराँ ये बता शहर में मस्जिदें और मन्दिर बनाने से क्या फ़ाएदा

मैंने ये सोचकर आज तक ऐ शजर दिल कभी भी किसी का दुखाया नहीं
बे-ख़ता बे-सबब रब की मख़्लूक़ का छोड़ दिल को दुखाने से क्या फ़ाएदा

  - Shajar Abbas

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading undefined Shayari