ameer aur haseen in mudeer logon se
khuda bachaaye shajar be zameer logon se
faqeer muflis-o-naadaar peer logon se
mila jhula karo tum in haqeer logon se
ameer log ana ke nashe mein rahte hain
main yun bachaata hoon khud ko ameer logon se
qafas se zulm ki azaad ho ke aaye hain
gale milo chalo chalkar aseer logon se
ye marz-e-ishq sukoon chain cheen leta hai
ghazal ke zariye ye kahte hain meer logon se
अमीर और हसीं इन मुदीर लोगों से
ख़ुदा बचाए शजर बे ज़मीर लोगों से
फ़क़ीर मुफ़लिस-ओ-नादार पीर लोगों से
मिला झुला करो तुम इन हक़ीर लोगों से
अमीर लोग अना के नशे में रहते हैं
मैं यूँ बचाता हूं ख़ुद को अमीर लोगों से
क़फ़स से ज़ुल्म की आज़ाद हो के आए हैं
गले मिलो चलो चलकर असीर लोगों से
ये मर्ज़-ए-इश्क़ सुकूँ चैन छीन लेता है
ग़ज़ल के ज़रिए ये कहते हैं मीर लोगों से
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Gareebi Shayari Shayari