baatunga main khushi se shajar jaa-b-jaa gulaab
le le agar gulaab jo mujhse mera gulaab
maine khila gulaab diya tha bata gulaab
tasleem kaise kar loon main sookha hua gulaab
naadim hoon zindagi mein tujhe de nahin saka
turbat pe usne meri ye kah kar rakha gulaab
allah khush rakhe tujhe ta umr har ghadi
deta hai yun gulaab ko pal pal dua gulaab
khaaron ke dil se uthne laga dekhkar dhuaan
gulshan mein jab gulaab ko maine diya gulaab
parvardigaar khair purane gulaab kii
apni taraf ko kheench raha hai naya gulaab
gurbat ne usko makhmali bistar nahin diya
kaanton pe rakh ke apna badan so gaya gulaab
khoon-e-jigar kii boondo ko yakja sametkar
qirtaas kii jabeen pe musavvir bana gulaab
shab bhar chaman ke chhote se goshe mein baithkar
aankhon se khun ke ashk bahaata raha gulaab
aankhon ke lab pe bas yahi fiqra hai har ghadi
haathon mein ik gulaab ke achha laga gulaab
gulshan mein bhanware shor machaate hain chaar soo
shaakh-e-shajar pe khilne laga hai naya gulaab
बाटूँगा मैं ख़ुशी से शजर जा-ब-जा गुलाब
ले ले अगर गुलाब जो मुझसे मिरा गुलाब
मैंने खिला गुलाब दिया था बता गुलाब
तस्लीम कैसे कर लूँ मैं सूखा हुआ गुलाब
नादिम हूँ ज़िंदगी में तुझे दे नहीं सका
तुर्बत पे उसने मेरी ये कह कर रखा गुलाब
अल्लाह ख़ुश रखे तुझे ता उम्र हर घड़ी
देता है यूँ गुलाब को पल पल दुआ गुलाब
ख़ारों के दिल से उठने लगा देखकर धुआँ
गुलशन में जब गुलाब को मैंने दिया गुलाब
परवरदिगार ख़ैर पुराने गुलाब की
अपनी तरफ़ को खींच रहा है नया गुलाब
ग़ुर्बत ने उसको मख़मली बिस्तर नहीं दिया
काँटों पे रख के अपना बदन सो गया गुलाब
ख़ून-ए-जिगर की बूँदो को यकजा समेटकर
क़िर्तास की जबीं पे मुसव्विर बना गुलाब
शब भर चमन के छोटे से गोशे में बैठकर
आँखों से ख़ूँ के अश्क बहाता रहा गुलाब
आँखों के लब पे बस यही फ़िक़रा है हर घड़ी
हाथों में इक गुलाब के अच्छा लगा गुलाब
गुलशन में भँवरे शोर मचाते हैं चार सू
शाख़-ए-शजर पे खिलने लगा है नया गुलाब
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Environment Shayari Shayari