bazm-e-shora sajaai jaati hai | बज़्म-ए-शोरा सजाई जाती है

  - Shajar Abbas

bazm-e-shora sajaai jaati hai
ek tasveer laai jaati hai

yun janamdin tera manaaya gaya
eed jaise manaa'i jaati hai

shaam ke waqt yaad mein teri
roz cigarette jalai jaati hai

dil ke qirtaas pe mohabbat se
teri soorat banaai jaati hai

muskuraati hai vo sare mehfil
jab ghazal meri gaai jaati hai

is tarah doli uth rahi hai koi
jaise mayyat uthaai jaati hai

dekhiye dosh par saba ke shajar
aag aise jalai jaati hai

बज़्म-ए-शोरा सजाई जाती है
एक तस्वीर लाई जाती है

यूँ जनमदिन तेरा मनाया गया
ईद जैसे मनाई जाती है

शाम के वक्त याद में तेरी
रोज़ सिगरेट जलाई जाती है

दिल के क़िर्तास पे मोहब्बत से
तेरी सूरत बनाई जाती है

मुस्कुराती है वो सरे महफ़िल
जब ग़ज़ल मेरी गाई जाती है

इस तरह डोली उठ रही है कोई
जैसे मय्यत उठाई जाती है

देखिए दोश पर सबा के 'शजर'
आग ऐसे जलाई जाती है

  - Shajar Abbas

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari