hunar ye aazmaana chahta hoon
use main bhool jaana chahta hoon
udaasi chhod de ab saath mera
main thoda muskurana chahta hoon
mujhe bas aur bas vo chahiye hai
main kab saara zamaana chahta hoon
mere shaane pe apne sar ko rakh do
main yaaron ko chidhaana chahta hoon
jo qismat mein nahin likkhi hai meri
main vo har cheez paana chahta hoon
tiri tasveer se tere khatoon se
main kamre ko sajaana chahta hoon
tire pyaare se dil ki saltanat mein
main chhota sa thikaana chahta hoon
tu mere zabt mera saath dena
main ashkon ko chhupaana chahta hoon
likhi hain phool par jo ghazlein maine
vo sab ghazlein sunaana chahta hoon
ijaazat do mujhe ai shaahzaadi
main tumse dil lagana chahta hoon
हुनर ये आज़माना चाहता हूँ
उसे मैं भूल जाना चाहता हूँ
उदासी छोड़ दे अब साथ मेरा
मैं थोड़ा मुस्कुराना चाहता हूँ
मुझे बस और बस वो चाहिए है
मैं कब सारा ज़माना चाहता हूँ
मिरे शाने पे अपने सर को रख दो
मैं यारों को चिढ़ाना चाहता हूँ
जो क़िस्मत में नहीं लिक्खी है मेरी
मैं वो हर चीज़ पाना चाहता हूँ
तिरी तस्वीर से तेरे ख़तों से
मैं कमरे को सजाना चाहता हूँ
तिरे प्यारे से दिल की सल्तनत में
मैं छोटा सा ठिकाना चाहता हूँ
तू मेरे ज़ब्त मेरा साथ देना
मैं अश्कों को छुपाना चाहता हूँ
लिखी हैं फूल पर जो ग़ज़लें मैंने
वो सब ग़ज़लें सुनाना चाहता हूँ
इजाज़त दो मुझे ऐ शाहज़ादी
मैं तुमसे दिल लगाना चाहता हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Environment Shayari Shayari