idhar udhar ko na jaaun to phir kidhar jaaun
ai rehnuma ye bata de mujhe main mar jaaun
mujhe yaqeen hai uske labon mein jaadu hai
agar vo choom le mujhko to main nikhar jaaun
tu mere jism mein ek rooh si utar jaaye
main tere jism mein ek rooh sa utar jaaun
mera mazaar ho uske dayaar ke aage
main chahta hoon main koo-e-butaan mein mar jaaun
tumhaare naam se jaane mujhe ye saara jahaan
main is jahaan mein meri jaan jidhar jidhar jaaun
khuda ke dar se nahin darte ye jahaan waale
to kis liye main zamaane ke dar se dar jaaun
janaab-e-qais alaihissalaam jaise gaye
main aise haal mein duniya mein dar-b-dar jaaun
dayaar-e-ghair mein lootaa hai rahzano ne mujhe
mera to ghar bhi nahin hain yahan kidhar jaaun
jo raah-e-ishq mein farhaad-o-qais kar na sake
khyaal aata hai dil mein kuchh aisa kar jaaun
batao mujhse haqeeqat mein pyaar karte ho
tu mujhse aan ke pooche ye main mukar jaaun
hamesha jaane se pehle vo poocha karti thi
agar kaho mujhe jaane ko to shajar jaaun
इधर उधर को न जाऊँ तो फिर किधर जाऊँ
ऐ रहनुमा ये बता दे मुझे मैं मर जाऊँ
मुझे यक़ीन है उसके लबों में जादू है
अगर वो चूम ले मुझको तो मैं निखर जाऊँ
तू मेरे जिस्म में एक रूह सी उतर जाए
मैं तेरे जिस्म में एक रूह सा उतर जाऊँ
मेरा मज़ार हो उसके दयार के आगे
मैं चाहता हूँ मैं कू-ए-बुताँ में मर जाऊँ
तुम्हारे नाम से जाने मुझे ये सारा जहाँ
मैं इस जहाँ में मेरी जाँ जिधर जिधर जाऊँ
ख़ुदा के डर से नहीं डरते ये जहाँ वाले
तो किस लिए मैं ज़माने के डर से डर जाऊँ
जनाब-ए-क़ैस अलैहिस्सलाम जैसे गए
मैं ऐसे हाल में दुनिया में दर-ब-दर जाऊँ
दयार-ए-ग़ैर में लूटा है रहज़नों ने मुझे
मेरा तो घर भी नहीं हैं यहाँ किधर जाऊँ
जो राह-ए-इश्क़ में फ़रहाद-ओ-क़ैस कर न सके
ख़्याल आता है दिल में कुछ ऐसा कर जाऊँ
बताओ मुझसे हक़ीक़त में प्यार करते हो
तू मुझसे आन के पूछे ये मैं मुकर जाऊँ
हमेशा जाने से पहले वो पूछा करती थी
अगर कहो मुझे जाने को तो शजर जाऊँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Mehboob Shayari Shayari