farishton ko agar meri tarah uski ziyaarat ho | फ़रिश्तों को अगर मेरी तरह उसकी ज़ियारत हो

  - Shajar Abbas

farishton ko agar meri tarah uski ziyaarat ho
farishton par ye laazim hai farishton ko bhi hairat ho

muhabbat ho wafa ho inkisaari ho sharaafat ho
ho chehra saanvala chahe magar dil khoobsurat ho

tu mere dard ko samjhe tu uske haal par roye
tire bete ko bhi ik shaahzaadi se muhabbat ho

muhabbat mein ajab se mod par aakar khade hain ham
unhen hamse shikaayat hai hamein un se shikaayat ho

tire kooche mein tere dar ke aage ho mera madfan
dua go hoon khuda se main meri poori ye hasrat ho

tumhein dekhoon tumhein choomun tumhein choomun ya main dekhoon
meri marzi hai chup baitho ki tum meri amaanat ho

फ़रिश्तों को अगर मेरी तरह उसकी ज़ियारत हो
फ़रिश्तों पर ये लाज़िम है फ़रिश्तों को भी हैरत हो

मुहब्बत हो वफ़ा हो इंकिसारी हो शराफ़त हो
हो चेहरा साँवला चाहे मगर दिल ख़ूबसूरत हो

तू मेरे दर्द को समझे तू उसके हाल पर रोए
तिरे बेटे को भी इक शाहज़ादी से मुहब्बत हो

मुहब्बत में अजब से मोड़ पर आकर खड़े हैं हम
उन्हें हमसे शिकायत है हमें उन से शिकायत हो

तिरे कूचे में तेरे दर के आगे हो मिरा मदफ़न
दुआ गो हूँ ख़ुदा से मैं मिरी पूरी ये हसरत हो

तुम्हें देखूँ तुम्हें चूमूँ तुम्हें चूमूँ या मैं देखूँ
मिरी मर्ज़ी है चुप बैठो कि तुम मेरी अमानत हो

  - Shajar Abbas

Greed Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Shajar Abbas

As you were reading Shayari by Shajar Abbas

Similar Writers

our suggestion based on Shajar Abbas

Similar Moods

As you were reading Greed Shayari Shayari