main apna haal-e-shikasta kabhi badal na saka
main chaah kar bhi teri yaad se nikal na saka
jo daave karta tha har lamha saath rahne ke
vo do qadam bhi mere saath saath chal na saka
mujhe khushi hai main sohbat se bach gaya uski
use malaal hai sohbat mein uski dhal na saka
charaagh-e-ishq jalaya tha dil ki basti mein
charaagh-e-ishq magar ziyaada der jal na saka
hazaar chaaha tere baad dil bahl jaaye
magar shajar ye mera dil kabhi bahl na saka
मैं अपना हाल-ए-शिकस्ता कभी बदल न सका
मैं चाह कर भी तेरी याद से निकल न सका
जो दावे करता था हर लम्हा साथ रहने के
वो दो क़दम भी मेरे साथ साथ चल न सका
मुझे ख़ुशी है मैं सोहबत से बच गया उसकी
उसे मलाल है सोहबत में उसकी ढल न सका
चराग़-ए-इश्क़ जलाया था दिल की बस्ती में
चराग़-ए-इश्क़ मगर ज़ियादा देर जल न सका
हज़ार चाहा तेरे बाद दिल बहल जाए
मगर 'शजर' ये मेरा दिल कभी बहल न सका
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Rahbar Shayari Shayari