milkiiyat pe apni suniye apna kabza chahiye
tesh se ghaazi ye bola mujhko dariya chahiye
jis tarah se doston majnoon ko leila chahiye
us tarah se mujhko bhi mehboob mera chahiye
ishq ko meraaj ho jaaye mataa-e-jaan suno
lahja-e-laila mein duniya ko vo khutba chahiye
ghir gai hai hijr ke toofaan mein kashti ishq ki
hazrat-e-farhaad ab isko sahaara chahiye
dil shajar ka chal padega khud hi raah-e-ishq par
dil ko in pyaari si aankhon ka ishaara chahiye
मिल्कियत पे अपनी सुनिए अपना कब्ज़ा चाहिए
तेश से ग़ाज़ी ये बोला मुझको दरिया चाहिए
जिस तरह से दोस्तों मजनूँ को लैला चाहिए
उस तरह से मुझको भी महबूब मेरा चाहिए
इश्क़ को मेराज हो जाए मता-ए-जाँ सुनो
लहजा-ए-लैला में दुनिया को वो ख़ुत्बा चाहिए
घिर गई है हिज्र के तूफ़ाँ में कश्ती इश्क़ की
हज़रत-ए-फ़रहाद अब इसको सहारा चाहिए
दिल शजर का चल पड़ेगा ख़ुद ही राह-ए-इश्क़ पर
दिल को इन प्यारी सी आँखों का इशारा चाहिए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Ulfat Shayari Shayari