munh ko aata hai kaleja meri jaan jaati hai
yaar ek yaad hai jo zehan mera khaati hai
eed ke din ki tarah khushiyaan manaate hain sabhi
lautkar gaav ko vo shehar se jab aati hai
gulshan-e-qalb mein khil jaate hain ulfat ke gulaab
apne hamraah mein vo aisi bahaar laati hai
apni sakhiyon ko azeezon ko ye batla dena
jo tumhein chahta hai ladka vo dehaati hai
chain tanhaai ko milta hi nahin aur kahi
ye meri baahon mein aakar hi sukoon paati hai
naujavaan lamhon mein ho jaate hai zulfon ke aseer
apni zulfen vo agar khol ke lehraati hai
dekh leti hain meri simt jo sakhiyaan uski
apni sakhiyon pe bade tesh se chillaati hai
aap vo jee mujhe kahti hai hamesha yaaron
naam lene mein mera sharm use aati hai
ashk aankhon mein liye dekho musalle pe shajar
ek ladki meri chaahat mein munaajaati hai
raat bhar ediyaan bistar pa ragadta hoon shajar
neend ki goliyaan khaakar mujhe neend aati hai
मुँह को आता है कलेजा मेरी जाँ जाती है
यार एक याद है जो ज़हन मेरा खाती है
ईद के दिन की तरह ख़ुशियाँ मनाते हैं सभी
लौटकर गाँव को वो शहर से जब आती है
गुलशन-ए-क़ल्ब में खिल जाते हैं उल्फ़त के गुलाब
अपने हमराह में वो ऐसी बहार लाती है
अपनी सखियों को अज़ीज़ों को ये बतला देना
जो तुम्हें चाहता है लड़का वो देहाती है
चैन तन्हाई को मिलता ही नहीं और कहीं
ये मेरी बाहों में आकर ही सुकूँ पाती है
नौजवाँ लम्हों में हो जाते है ज़ुल्फ़ों के असीर
अपनी ज़ुल्फें वो अगर खोल के लहराती है
देख लेती हैं मेरी सिम्त जो सखियाँ उसकी
अपनी सखियों पे बड़े तेश से चिल्लाती है
'आप' 'वो' 'जी' मुझे कहती है हमेशा यारों
नाम लेने में मेरा शर्म उसे आती है
अश्क़ आँखों में लिए देखो मुसल्ले पे 'शजर'
एक लड़की मेरी चाहत में मुनाजाती है
रात भर एड़ियाँ बिस्तर पा रगड़ता हूँ शजर
नींद की गोलियाँ खाकर मुझे नींद आती है।
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Shajar Abbas
our suggestion based on Shajar Abbas
As you were reading Naqab Shayari Shayari